January 24, 2012

Tumhari Yaad Aati Hay


Tumhari Yaad Aati Hay

Andheri Raat Ko Jab Aasmaan Per

Tajaliyaan Hurf -e- Mohabbat Naqsh Karti Hain

Kese Nakaam Saaat Jab

Hamara DIL Shikasta Hoslay Ka Nouha Gaata Hay

Naii Hijrat Hamari Zindagi Ki

Taaza Majboriyon Kay Aangan Main

Siya Kheema Lagati Hay

Tumhari Yaad Aati Hay